Ghazals | غزلیں


English اردو


Zaraa dekh` to sahee aaNsu,oN meN bh`ee muskuraanaa sikh`aa gayaa **
Zaraa dekh` to sahee aaNsu,oN meN bh`ee muskuraanaa sikh`aa gayaa
Gham-e-i'shq ai miree zindagee! tujh`e laa-zawaal banaa gayaa!

nah woh ashk-e-Gham, nah woh chashm-e-nam, nah woh roz-o-shab ke Gham-o-alam
huwaa jab se mujh` peh woh mehrbaaN, miree zindagee kaa mazaa gayaa!

kahooN kyaa huwaa shab-e-aarzoo, rahee jee kee jee hee meN baat sab
th`ee a'jeeb Haalat-e-dil miree, nah kahaa gayaa, nah sunaa gayaa!

wohee maiN th`aa aur wohee HasrateN, wohee ashk-o-aah kee garmiyaaN
tiree yaad aa gayee jis gh`aRee, mire dil se ph`ir nah rahaa gayaa!

rah-e-a'ashiqee kee muSeebateN! tujh`e kyaa Khabar, tujh`e fikr kyaa?
maiN to apnee jaaN se guZar gayaa, too bataa bh`laa tiraa kyaa gayaa?

mire har nafas meN hai teeragee, mire dard kee, mire karb kee
giraa chashm-e-tar se jo ashk-e-Gham, nayaa ik fasaanah sunaa gayaa!

kaheeN dostoN kee shikaayateN, kaheeN doosroN kee malaamateN
koyee aise dil ko dukh`aa gayaa, koyee waise dil ko dukh`aa gayaa

kiyaa kaam us ne tamaam yooN, suneeN muskuraa ke shikaayateN
mujh`e maut aa gayee jeete jee, nah gilaa rahaa, nah gilaa gayaa!

miree koshishoN meN kamee nah th`ee, maiN muqaddaraat ko kyaa karooN?
yahaaN aayaa jo to Khafaa Khafaa,jo gayaa to ph`ir bh`ee Khafaa gayaa!

nah woh soz hai, nah woh saaz hai, nah woh naaz hai, nah niyaaz hai
nah woh Haal-e-"Sarwar-e-Raz" hai, yeh naz^ar se kyaa woh pilaa gayaa?