Ghazals | غزلیں


English اردو


meraa jaanaa nah huwaa, aap kaa aanaa nah huwaa **
meaa jaanaa nah huwaa, aap kaa aanaa nah huwaa
baat itnee th`ee magar us pah yeh afsaanah huwaa!

jaan dene meN mujh`e u'Zr naheeN hai lekin
haan! agar ph`ir bh`ee mire Gham kaa madaawaa nah huwaa?

gir gayaa ho gaa luhoo aaNkh` se anjaane meN
warnah kab ham ko tiraa dard gawaahaa nah huwaa?

zaKhm-e-dil, Khoon-e-jigar, zaKhm-e-alam, Khoon-e-umeed
daaman apnaa kabh`ee sharmindah-e-giryaa nah huwaa

th`ee Khabar chaar t^araf teree masee,haayee kee
kyoN tiraa Gham mire Haq meN hee MaseeHaa nah huwaa?

i'shq meN roz nayaa ranj ho aisaa to huwaa
aur mushkil koyee Hal ho, kabh`ee aisaa nah huwaa!

luT gaYe jaan-o-jigar, Sabr-o-sukoon-o-eemaaN
too bataa teree a'mal-daaree meN kyaa kyaa nah huwaa?

teraa ban,ne kee kashaa-kash meN huyee shaam-e-Hayaat
Gham to yeh hai keh isee Gham meN Khud apnaa nah huwaa!

"Sarwar"-e-soKhtah-saamaaN kee shikaayat kaisee?
us ko kab hosh hai? deewaanah to deewaanah huwaa!