Ghazals | غزلیں


English اردو


nah kisee ne dil hee dekh`aa, nah kisee ne Gham hee jaanaa **
nah kisee ne dil hee dekh`aa, nah kisee ne Gham hee jaanaa!
koyee keh rahaa hai shaai'r, koyee samjh`e hai diwaanah!

yeh hujoom-e-naa-muraadee, mire dil kaa TooT jaanaa
mujh`e raas aa gayee kyaa rah-o-rasm-e-a'ashiqaanah?

dil-e-naa-muraad teraa hai kahaaN bataa Th`ikaanaa?
kabh`ee is galee se aanaa, kabh`ee us galee meN jaanaa!

yehee intihaa-e-Gham hai, yehee zindagee kaa HaaSil
giraa jis jagah jo aaNsoo, waheeN ban gayaa fasaanah

mire ashk-e-Gham nah dekh`o, mire ashk-e-Gham salaamat!
yehee jaam-e-SubHgaahee, yehee saaGhar-e-shabaanah!

too kaTe gee aaj kaise, mujh`e aa! sunaa, shab-e-Gham!
koyee almiyah kahaanee, koyee dukh` bh`araa fasaanah

jo mile Zaraa see furSat to Gham-e-jahaaN se pooch`ooN
tujh`e haath` aaYe kaise rah-o-raNg-e-kaafiraanah?

tab-o-taab-e-a'ashiqee hee tab-o-taab-e-zindagee hai
keh ba-qadr-e-z^arf-e-dil hee mile sab ko yeh Khazaanah

miree be-zabaaniyoN ne mujh`e woh diyaa hai "Sarwar"
nah gilah hai dostoN se, nah shikaayat-e-zamaanah