Ghazals | غزلیں


English اردو


saraab-e-zeest meN ham Doobte-ubh`arte rahe
saraab-e-zeest meN ham Doobte-ubh`arte rahe (q)
KhizaaN-gazeedah, umeed-e-bahaar karte rahe!

umeed karte rahe aur dil meN Darte rahe
qafas-naSeeb th`e, din is taraH guZarte rahe!

rah-e-najaat, rah-e-i'shq se nikaltee hai
isee liye tire bande butoN pe marte rahe!

abh`ee yeh raat Dh`ale gee, abh`ee saHar hogee
tamaam u'mr yehee intiz^aar karte rahe!

kabh`ee gumaan kee Soorat, kabh`ee yaqeeN kee t^araH
hamaare Khwaab bigaRte rahe, saNvarte rahe

gunaahgaar-e-azal haiN, ph`ir aur kyaa karte?
umeedvaar-e-karam hain, gunaah karte rahe!

kitaab-e-dehr per bas ik nigaah Daalee th`ee
Zaraa saa qarZ^ th`aa, ik u'mr us ko bh`arte rahe!

Zaraa see baat per be-iKhtiyaar ho :Sarwar:?
karoge kyaa jo yooNhee Haadice guZarte rahe?