Ghazals | غزلیں


English اردو


SubH ko ham yooN shaam karte haiN **
SubH ko ham yooN shaam karte haiN
Zikr teraa mudaam karte haiN

tujh` ko karnaa hai jo udh`ar kar le
ham idh`ar apnaa kaam karte haiN!

jaan lenee hai ik miree, lekin
kis qadar ehtimaam karte haiN!

ham haiN bas aur kaar-o-baar-e-Gham
ab yehee ek kaam karte haiN

kyaa shikaayat naheeN hameN tujh` se?
haaN! magar iHtiraam karte hain!

SubH ummeed, shaam ko Hasrat!
is t^araH dil ko raam karte haiN

maut kee aarzoo hai aur ham haiN
zindagee ko salaam karte haiN

Khud ko ham Khaak meN milaate haiN
yooN baRaa teraa naam karte haiN

ham ko ab fikr aur kyaa "Sarwar"?
Zikr-e-Khair-ul-anaam karte haiN!