Ghazals | غزلیں


English اردو


tire Husn se hameN kyaa milaa, tire i'shq ne hameN kyaa diyaa? **
tire i'shq se hameN kyaa milaa, tire i'shq ne hameN kyaa diyaa?
jalee jaaN ko aur jalaa diyaa, dukh`e dil ko aur dukh`aa diyaa!

zahe shauq-e-raah, zahe safar, huyee u'mr is t^araH muKhtaSar
yehee Khoon-e-zakhm-e-dil-o-jigar keh th`aa zaad-e-raah, luTaa diyaa!

kabh`ee nauHah-e-Gham-e-aabroo, kabh`ee maatam-e-Gham-e-aarzoo
kabh`ee qalb-e-zaar luhoo luhoo, diyaa i'shq ne to yeh kyaa diyaa?

maiN hooN Zarrah-e-dil-e-benawaa, tiree mashq-e-naaz kaa Zikr kyaa?
kabh`ee chashm-e-tar se uTh`aa liyaa, kabh`ee chuTkiyoN meN uRaa diyaa!

bane jab se bandah-e-i'shq ham, rahe beniyaaz-e-Gham-o-sitam
jahaaN naam teraa sunaa Sanam, waheeN sar ko apne jh`ukaa diyaa

tiree yaad sharH-e-umeed ab, tiraa dard HaaSil-e-roz-o-shab
huyee sust nabZ^-e-Hayaat jab, waheeN Gham kee lau ko baRh`aa diyaa!

tujh`e kyaa bataa,ooN maiN saaqiyaa! tiree chashm-e-shoKha kaa maajiraa?
kabh`ee haNs ke mujh` ko haNsaa diyaa, kabh`ee ro ke mujh` ko rulaa diyaa

woh jo ek teerah-naSeeb th`aa, wohee dil to meraa Habeeb th`aa
woh chiraaGh-e-shaam-e-Ghareeb th`aa, tiree beruKhee ne bujh`aa diyaa

Gham-e-naa-rasaayee se haar kar, gaYe jaan-e-zaar se sar-ba-sar
jo adaa nah ho sakaa u'mr bh`ar, woh Hisaab aaj chukaa diyaa

mile jaan-e-zaar kee gar amaaN, to bataaYe "Sarwar"-e-naatawaaN
keh chiraaGh-e-Hasrat-e-KhastagaaN, kahaaN aur kis ne bujh`aa diyaa?