Ghazals | غزلیں


English اردو


baat kyaa hai tiree guZar nah huyee? **
baat kyaa hai tiree guZar nah huyee?
dostee mujh` se KhaaS kar nah huyee!

mar gaYe intiz^aar meN be-maut
ph`ir Khalish koyee u'mr bh`ar nah huyee

aarzoo hai keh aarzoo nah rahe
chain se yooN bh`ee to basar nah huyee

haaYe majbooriyaaN muHabbat kee
dil dukh`aa aur aaNkh` tar nah huyee!

dil meN kitne malaal, kitne Gham!
kabh`ee yeh shama' be-sharar nah huyee

dil diyaa, jaan dee, diyaa eemaaN!
ph`ir bh`ee mujh` se tiree guZar nah huyee

ham haiN Khaamosh paas-e-ulfat se
aur guZar is t^araH agar nah huyee?

daastaaN apnee muKhtaSar th`ee magar
daastaaN apnee muKhtaSar nah huyee!

aa bh`ee jaa,o keh ik zamaaneh se
zindagee aisee be-saHar nah huyee!

th`ee sabh`ee kee nigaah "Sarwar" par
nah huyee to tiree naz^ar nah huyee!