Ghazals | غزلیں


English اردو


dekh`iYe Heele haiN kyaa kyaa yaad aane ke liYe *
dekh`iYe Heele haiN kyaa kyaa yaad aane ke liYe
kuch` sataane ke liYe, kuch` aazmaane ke liYe!

kyaa wafaa, kaisee muHabbat aur kahaaN kee dostee?
haaN! magar Heele haiN dunyaa ko dikh`aane ke liYe

bh`ool kar hee baat kar lete, baRee kyaa baat th`ee!
yaad kyaa aaYe th`e ham ko bh`ool jaane ke liYe?

ho chalaa hai Khatm qiSSah hastee-e-maHroom kaa
aap hee u'nwaaN bataaYeN is fasaane ke liYe

le uRee haath`oN se un ko bh`ee hawaa-e-bekasee
chand tinke chun rahaa th`aa aashyaane ke liYe

ai dil-e-barbaad! yeh dunyaa hai, is kaa kyaa gilah?
kis ko furSat hai ke roYe ik diwaane ke liYe?

inqilaab-e-zeest laazim hai magar ab kyaa kaheN
ham hee goyaa reh gaYe haiN aazmaane ke liYe!

jee meN hai "Sarwar"! keh ab kuch` jee chaleN apne liYe
ik zamaanah jee liYe ham ik zamaane ke liYe!