Ghazals | غزلیں


English اردو


geh woh naz^ar milaaYe kyoN? gaahe naz^ar churaaYe kyoN? *
geh woh naz^ar milaaYe kyoN? gaahe naz^ar churaaYe kyoN?
mujh` se GharaZ^ naheeN agar, saamne mere aaYe kyoN?

ranjish-e-i'shq aur hai dard kee laZZateN haiN aur
Gham se jo aashanaan nah ho, us kee samajh` meN aaYe kyoN?

i'shq kee sar-balandiyaaN bas ik shikast-e-dil se haiN
aah alboN peh aaYe kyoN, koyee yeh raaz paaYe kyoN?

teree yeh bad-gumaaniyaaN, meree yeh Khud-farebiyaaN
shehr-e-nigaar-e-aarzoo aaYe to raas aaYe kyoN?

yeh ik adaaYe Husn hai, yaa ph`ir adaaYe i'shq hai
dil se jo maiN utar gayaa, naz^roN se ph`ir giraaYe kyoN

yooN hee agar raheeN tiree z^aalim! yeh kaj-adaa,iyaaN
teree siyaasat-e-jafaa meree samajh` meN aaYe kyoN?

tuhmat-e-har-naz^ar bh`ee hai, shuhrat-e-dar-badar bh`ee hai
saaree use Khabar bh`ee hai, ph`ir bh`ee woh aazmaaYe kyoN?

Sabr-o-qaraar luT gaYe "Sarwar"! tire naSeeb ke
shaam-o-saHar yeh ashk kyaa, din-raat haaYe haaYe kyoN?