Ghazals | غزلیں


English اردو


iz^haar-e-alam, shikwah-e-dauraaN naheeN karte *
iz^haar-e-alam, shikwah-e-dauraaN naheeN karte
ham reHmat-e-yazdaaN ko pashemaaN naheeN karte

jo karte haiN yeh Khaar numaayaaN naheeN karte
ham jaa ke tauheen-e-bahaaraaN naheeN karte

ai dil! yehee aaNsoo to haiN sauGhaat-e-muHabbat
naadaan! i'laaj-e-Gham-e-pinhaaN naheeN karte!

arbaab-e-Khirad Haal peh mere haiN pareshaaN
aur apnee hee woh fikr-e-garebaaN naheeN karte!

maanoos hooN daar-o-rasan-e-i'shq se aisaa
dunyaa ke Kham-o-pech pareshaaN naheeN karte

jo meree wafaa,oN se pareshaaN haiN, Khudaayaa!
kyoN mere Gham-o-dard kaa darmaaN naheeN karte?

waaqif hooN nihaaN-Khaanah-e-hastee se maiN aisaa
dunyaa ke tamaashe mujh`e HairaaN naheeN karte!

kyaa farZ^ hai "Sarwar"! keh bano i'shq meN kaafir?
kyoN us but-e-kaafir ko musalmaaN naheeN karte?