Ghazals | غزلیں


English اردو


dekh` to dard-e-i'shq se mere dil ko kyaa aaraam huwaa *
dekh` to dard-e-i'shq se mere dil ko kyaa aaraam huwaa
ranjish-e-dunyaa wehm banee aur Khwaab Gham-e-ayyaam huwaa!

Hasrat, yaas, ummeed, tamannaa, hijr, jafaa, naaz-o-andaaz
kis kis Heelah, kaun bahaane dil kaa kaam tamaam huwaa

kis se kehte aur kyaa kehte kaun kisee kee suntaa hai?
dunyaa ke baazaar meN sikkah be-dardee kaa a'am huwaa

tere qiSSe meree baateN, ashkoN kee paiham barsaateN
hijr kee tanhaa kaalee raateN, yeh meraa anjaam huwaa!

baat naheeN meree hee akelee, i'shq kee gar boojh`e yeh pahelee
maiN hee naheeN badnaa-e-muHabbat teraa bh`ee to naam huwaa

jaisee karnee waisee bh`arnee, koyee tuj`e ilzaam naheeN
dil ko to barbaad th`aa honaa, SubH huwaa yaa shaam huwaa

band sahee lab mere lekin dil meraa Khaamosh naheeN
aah banee hai ek dua'a, har aaNsoo ik paiGhaam huwaa

maarte ho kyoN is ko patth`ar, ph`ooTaa hai pehle hee muqaddar!
ek to deewaanah hai "Sarwar" ph`ir is par badnaam huwaa