Ghazals | غزلیں


English اردو


shareek-e-Gham nah rahaa aur ham-zabaaN nah rahaa *
shareek-e-Gham nah rahaa aur ham-zabaaN nah rahaa
gayaa jo dil yeh to koyee bh`ee raazdaaN nah rahaa!

tumhaare dard kee bastee kahaaN kahaaN nah milee
tumhaare i'shq kaa charchaa kahaaN kahaaN nah rahaa?

yeh kas-mapursee kaa a'alam, yeh be-kasee kaa Haal
zameeN ko ro hee rahe th`e keh aasmaaN nah rahaa!

Z^aroor i'shq kee me'raaj hai yehee manzil
yaqeeN yaqeeN nah rahaa aur gumaaN gumaaN nah rahaa!

tire KhulooS kee Soorat, tiree wafaa kee t^araH
miTaa hooN i'shq meN aisaa koyee nishaaN nah rahaa

naheeN Kharaab miraa waqt hee muHabbat meN
tiraa bh`ee Haal wo pehlaa saa jaan-e-jaaN! nah rahaa

kisee ko Gham th`aa kahaaN gulsitaaN ujaRne kaa?
magar huwaa yooN keh Khud apnaa aashiyaaN nah rahaa!

talaash-e-saayah-e-deewaar hai tujh`e "Sarwar"?
us dayaar meN jis jaa tiraa makaaN nah rahaa