Ghazals | غزلیں


English اردو


baat anokh`ee hai yeh kaisee, koyee to mujh` ko samjh`aaYe *
baat anokh`ee hai yeh kaisee, koyee to mujh` ko samjh`aaYe
jitnaa bh`oolnaa chaahooN us ko, utnaa hee woh yaad aaYe!

kis se kehte aur kyaa kehte, kaun kisee kee suntaa hai!
bastee bastee gh`oom aaYe ham, daryaa daryaa ph`ir aaYe

bh`oolee bisree yaadeN jab jab dil ko Thes lagaatee haiN
aaNkh`eN barseN rim-jhim, rim-jhim, saaNs ruke dil gh`abraaYe

i'shq kee baateN i'shq hee jaane, is ke sab andaaz naYe
i'shq kee baazee jeetne waale, jeet ke haare kehlaaYe

kaisee Hasrat, kyaa ummeedeN, hijr kahaaN aur kaun wiSaal?
dunyaa kaa dastoor yehee hai, ik jaaYe ik rut aaYe!

ashkoN kee shama'eN jalte hee yaadeN kyaa kyaa aayee haiN
kahiYe kaise bh`oolaa us ko shaam ko jo gh`ar aa jaaYe

Haal yeh hai apnaa saayah bh`ee katraaYe akcar ham se
dekh`naa ho gaa Ghurbat meN sab qismat jo bh`ee dikh`laaYe

Hairat kyaa jo i'shq meN "Sarwar" behkee behkee kehtaa hai
hosh kee is meN baat kare jo woh deewaanah kehlaaYe