Ghazals | غزلیں


English اردو


shikwah-e-dost naheeN, tuhmat-e-aGhyaar naheeN *
shikwah-e-dost naheeN, tuhmat-e-aGhyaar naheeN
ab zamaanah se hameN koyee sarokaar naheeN!

too naheeN hai to woh raNgeenee-e-gulzaar naheeN
in dinoN mausam-e-gul kaa koyee ma'yaar naheeN!

aur kyaa is se baRaa chaahiYe chaahat kaa cuboot?
ham ko inkaar naheeN, aap ko iqraar naheeN!

ek too hai keh saraapaa hai tiraa Husn-e-Ghazal
ek maiN hooN ke mujh`e jur,at-e-iz^haar naheeN

uTh gayee dehr se yak-laKht hee kyaa rasm-e-wafaa?
roz biktaa hooN magar koyee Khareedaar naheeN!

ek ik Harf hai tafseer-e-Hayaat-e-barbaad
dil ke tukRe haiN mire yeh faqat^ asha'ar naheeN!

dekh`iYe t^arz-e-paZeeraayee-e-shehr-e-KhoobaaN
saNg-e-deewaar to hai saayah-e-deewaar naheeN!

manzil-e-shauq meN ho aap kaa achh`aa anjaam
"Sarwar"! aise to kaheeN bh`ee koyee aacaar naheeN!