Ghazals | غزلیں


English اردو


saamne hai mire lekin naz^ar aataa bh`ee naheeN *
saamne hai mire lekin naz^ar aataa bh`ee naheeN
aur kehne ko koyee beech meN pardaa bh`ee naheeN!

ek muddat se hai yeh Haal hamaaraa logo
fikr-e-imroz naheeN, kaavish-e-fardaa bh`ee naheeN

kaise naadaaN ho umeedoN de behel jaate ho
SaaHebo! kyaa tumheN andaazah-e-dunyaa bh`ee naheeN?

kis se afsaanah-e-aawaaragee-e-shauq kahooN?
zeest kee chaah bh`ee hai, zeest gawaarah bh`ee naheeN!

tum ko yeh zo'm koyee tum saa zamaanah meN naheeN
yam bh`ee yeh a'rZ^ kareN ge koyee ham saa bh`ee naheeN!

waqt ne is t^araH barbaad kiYe shehr-e-umeed
ek taSweer sar-e-t^oor-e-tamannaa bh`ee naheeN

waqt ke haath` hai ab Haal hamaaraa aisaa
kyaa kaheN auroN ko Khud apnaa bh`arosaa bh`ee naheeN

kis ko furSat keh sune Ram-kahaanee "Sarwar"
Sabr kar Sabr! keh is ke siwaa chaaraa bh`ee naheeN!