Ghazals | غزلیں


English اردو


yeh dunyaa shehr-e-naa-pursaaN, zamaanah yeh siyaasat kaa *
yeh dunyaa shehr-e-naa-pursaaN, zamaanah yeh siyaasat kaa
bh`alaa kyaa kaam hai is gaam arbaab-e-muHabbat kaa?

hamaaree samt bh`ee aa jaaYe bazm-e-yaar se yaa-Rab!
koyee Khushboo tamannaa kee, koyee jh`oNkaa muHabbat kaa

hamaaree fikr kaa hai ek partav a'alam-e-imkaaN
hameeN ko hai patah th`oRaa bohat is kee Haqeeqat kaa!

yeh manzil maawaraaYe-fikr-o-daanish hai yaqeena" hai!
"koyee meHram naheeN hotaa jahaan-e-raaz-e-ulfat kaa"

qalm hai sar-bureedah, raushnaayee Khushk, maZ^mooN gum!
kitaab-e-zindagaanee hai SaHeefah meree Hasrat kaa

koyee Had bh`ee huwaa kartee hai aaKhir saadah-lauHee kee!
zamaanah se gilah hai, woh bh`ee fuqdaan-e-muHabbat kaa?

jiyo to muhr-bar-lab aur mar jaa,o to be-chehrah
hameN jeene naheeN detaa taqaaZ^ah teree chaahat kaa!

naheeN ma'loom kyoN yaad aa gayaa koyee hameN "Sarwar"
yooN hee bas taZkirah niklaa th`aa meHfil meN qiyaamat kaa!