Ghazals | غزلیں


English اردو


qiSSah-e-Gham kehte kehte Khud fasaanah ho gaYe *
qiSSah-e-Gham kehte kehte Khud fasaanah ho gaYe
th`e tamaashaayee magar ab ham tamaashaa ho gaYe!

Haif! yeh raNg-e-siyaasat? log kyaa kyaa ho gaYe!
raah-zan rehbar bane, dushman shanaasaa ho gaYe

farq hai ahl-e-Khirad aur ahl-e-dil meN kis qadar
yeh kinaare reh gaYe, woh Gharq-e-daryaa ho gaYe!

chand lamHe a'afiyat ke aaYe th`e mushkil se haath`
woh bh`ee waqf-e-kaavish-e-imroz-o-fardaa ho gaYe

kaun hai Soorat-gar-e-Husn-e-firaawaaN har t^araf?
ahl-e-dil sab kushtah-e-Harf-e-tamannaa ho gaYe

ik zamaanah th`aa taSawwur kee balaa-Khezee ke saath`
aaNkh` kyaa kh`olee, bh`aree dunyaa meN tanhaa ho gaYe

SubH meHroom-e-tamannaa, shaam meHroom-e-wiSaal
kitne shehr-e-aarzoo ham-raNg-e-SeHraa ho gaYe!

gar naheeN Khauf-e-Khudaa to Khauf-e-dunyaa hee sahee
kyaa kareN ge aap "Sarwar", kal jo ruswaa ho gaYe?