Ghazals | غزلیں


English اردو


miree fikr-e-rasaa jab maa,il-e-parwaaz hotee hai *
miree fikr-e-rasaa jab maa,il-e-parwaaz hotee hai
faqat^ dunyaa naheeN fit^rat bh`ee ham-aawaaz hotee hai!

saraapaa soz hotee hai, mujassam saaz hotee hai
muHabbat har dh`aRakte qalb kee aawaaz hotee hai!

sar-e-aa,eenah-e-hastee tamaashoN kee firaawaanee
usee Husn-e-azal kaa ik Khiraam-e-naaz hotee hai

sunaa,ooN gaa zamaaneh ko kisee din qiSSah-e-Hasrat
baRee mushkil se dunyaa aashnaa-e-raaz hotee hai

jahaan-e-aarzoo-e-shauq jis manzil pah miT jaaYe
muHabbat bas waheeN shaa,istah-e-aaGhaaz hotee hai!

yeh kaisee be-basee hai? kaun see manzil hai armaaN kee?
nah aaNsoo hee nikalte haiN, nah hee aawaaz hotee hai

woh meree be-HuZ^ooree ho keh teree meHfil-aaraayee
adaaYe-beniyaazee kaa tiree andaaz hotee hai

Ghazal "Sarwar" kee kyaa dunyaa ko reh reh kar rulaaYe gee?
t^abee,a't dekh`iYe ph`ir zamzamah-pardaaz hotee hai