Ghazals | غزلیں


English اردو


andaaz-e-KhizaaN raNg-e-bahaaraaN naheeN dekh`aa *
andaaz-e-KhizaaN raNg-e-bahaaraaN naheeN dekh`aa
dil aisaa uTh`aa sooYe-gulisaaN naheeN dekh`aa!

kyaa soch ke haNste ho mire Haal pah logo?
SeHraa naheeN dekh`aa keh bayaabaaN naheeN dekh`aa?

ik ham haiN keh dekh`aa kiYe har Haal meN tum ko
ik tum ho keh ham ko kisee u'nwaaN naheeN dekh`aa!

yeh kaun see manzil hai, bataa,o to Khudaa-raa!
is darjeh to Khud ko kabh`ee Ghaafil naheeN dekh`aa

aa,een-e-wafaa pooch`iYe un se keh jinhoN ne
saudaa th`aa giraaN yaa keh th`aa arzaaN, naheeN dekh`aa!

aayee bh`ee agar yaad to Dartee huyee aayee
aisaa to kabh`ee mausam-e-hijraaN naheeN dekh`aa!

dunyaa meN kahaaN qadr bh`alaa ashk-e-wafaa kee
kuch` too ne bh`ee ai deedah-e-HairaaN naheeN dekh`aa?

"Sarwar" hai Gham-e-i'shq se deewaanah to kyaa hai?
kyaa tum ne koyee SaaHeb-e-eemaaN naheeN dekh`aa?