Ghazals | غزلیں


English اردو


talaash-e-laalah-o-gul, fikr-e-raNg-o-boo nah rahee *
talaash-e-laalah-o-gul, fikr-e-raNg-o-boo nah rahee
siwaaYe tere hameN koyee justjoo nah rahee!

woh aaYe th`e to hameN taab-e-guftgoo hee nah th`ee
woh kyaa gaYe keh koyee wajh-e-guftgoo nah rahee

yeh aarzoo th`ee nigaahoN meN teree aa jaa,ooN
naz^ar milee to koyee aur aarzoo nah rahee

isee kaa naam muHabbat hai kyaa dil-e-barbaad?
koyee bh`ee aarzoo haNgaam-e-aarzoo nah rahee

Z^aroor ho gaa koyee inqilaab dunyaa kaa
luhoo bohat bahaa ik qeemat-e-luhoo nah rahee

bataaYeN kyaa tumheeN guZree hai zindagee kaise
kaho sukoon kee Soorat? to woh kabh`oo nah rahee!

a'jeeb cheez hai teraa mu,a'amilah ai dil!
jo bach gayaa sar-e-daaman, rag-e-guloo nah rahee

huwaa hai Khastah-nafas is qadar zamaaneh se
jo dh`oom pehle th`ee "Sarwar" kee chaar-soo nah rahee!