Ghazals | غزلیں


English اردو


niyaaz-e-i'shq-e-butaaN hai kaisaa, Ghuroor-e-Husn-o-shabaab kyaa hai? *
niyaaz-e-i'shq-e-butaaN hai kaisaa, Ghuroor-e-Husn-o-shabaab kyaa hai?
yeh aaNsu,oN kaa Khiraaj kyoN hai, yeh HasratoN kaa Hisaab kyaa hai?

miree yeh beem-e-rijaa kee Haalat, isee kaa kyaa naam hai muHabbat?
tamaam din intiz^aar kyoN th`aa, tamaam shab iZ^t^iraab kyaa hai?

wujood-e-mauhoom meraa aaKhir tiree Haqeeqat se kab judaa hai?
niqaab uTh`aa, aashkaar ho jaa! yeh teraa mujh` se Hijaab kyaa hai?

hameN agar pooch`naa hai kuch` to, yeh ahl-e-dunyaa se pooch`naa hai
sitam-ba-shakl-e-KhulooS kyoN th`aa, karam-ba-shakl-e-i'taab kyaa hai?

wujoos meraa gureZ-paa hai, keh fehm hee meree naa-rasaa hai?
maiN kaun hooN, kyaa hooN aur kahaaN hooN, miree Khalish kaa jawaab kyaa hai?

mile agr roz-e-Hashr mauqa', to SaaHeb-e-Hashr se yeh pooch`ooN
nafas-nafas mujh` pah th`ee qiyaamat, ph`ir aaj roz-e-Hisaab kyaa hai?

yeh Husn kee t^arz-e-dilnawaazee, yeh i'shq kee sab karishmah-saazee
ba-juz fareb-e-naz^ar naheeN kuch`, bh`alaa mataae'-Habaab kyaa hai?

jo aaj beThe ho HasratoN kaa shumaar karne, bataa,o "Sarwar"
Khabar naheeN th`ee tumheN keh anjaam-e-i'shq-e-Khaanah-Kharaab kyaa hai?